Khushiyo Ka Tyohaar

DOSTO ☺ hum har saal diwali ka tyohar kyu manate h? kyu har saal diwali vale din hum gharo me diye jalate h? vese to humme se bhot log h jo pooja path ni krte fir diwali k din hi vo log pooja krke kyu dikhate h? itne phool agarbatti hum bhagvan pr kyu chadate h ? vese to sab matlabi h pr diwali vale din sab ek dusre k ghar me mithai lekr kyu jate h? kabhi socha h? us khushi k liye jo hme milti h or hmari vjah se dusro ko☺ is din parivar ek sath hota h sabke chehre pr muskan hoti h sab sath bethte h pooja krte h ek dusre se milte h gharo me diye jalakr ye mana jata h ki hum apni paramparao ko aaj tk nhi bhoole? pr kabhi socha h ki kya hum apni paramparo ko sahi trh se nibah rhe h? is din log bag 1000ro rupe k bum -patakhe jala dete h! kis liye diwali h isliye? kaha likha h ki diwali pr patakhe phodo? is dhue se vatavrn itna bigad gya h ki kai logo ko saans lene me dikkat hoti h! agr aapko diwali manani h to paramparao k sath manaiye☺ ghar me ek chota sa deepak jalaiye or khushiya Baatiye,
“Jinti khushi pathake jalane me hai usse zindagi bachane me hai”

Article written by

Result icon